Powered By Blogger

सोमवार, 14 दिसंबर 2009

vande mataram
.
.
mitron, vande mataram ke itihas, mahatv aur garima se sabhi parichit hain. is ek geet aur vande mataram ke nare ne angarejon kee nind uda di aur unhe bangal vibhajan ko vapas lene par majaboor kar diya. is git aur nare se bhayabhit hokar angarejon ne is par pratibandh laga diya aur hajaron deshabhakton ne us pratibandh ko vande matram ke udaghosh se bhang kiya.unhonne lathiyan aur goliya khaee, kalapani jhela lekin vande mataram ko ek kshan ke liye bhi bhule nahi. aaj ham ek swatantra bharat me sans le rahe hai to un krantikariyo ke balidano ka fal hai, jinhone vande matram ke nare ko jinda rakha.aao hum sab is balidan kee garima aur purwajo ki smriti ke is pavitra chinh kee raksha kare. kya hamara kartavy nahin hai? ki aaj jab is pavitra geet(hamare desh ka rashtrageet)ka kuchh logon dwara ye kahakar virodh kiya ja raha hai ki unke dharm ke viruddh hai,to hamara kartavy hai ki humlog iss sajish ka virodh karen.

aaiye hum sankalp karen ki JIYENGE SADA ISHI KE LIYE MARENGE SADA ISHI KE LIYE,HUM PRAN BHI NWOCHHAWAR KAR DENGE APNI MATRIBHUMI KE LIYE.........JOR SE BOLO.........."VANDE MATRAM"...............AUR..........BHARAT MATA KI JAI"

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें